nazm uljhi hui hai sine mein misre atke hue hain honton par lafz kaghaz pe baithte hi nahin udte phirte hain titliyon ki tarah kab se baitha hua hun main jaanam sada kaghaz pe likh ke nam tera bas tera nam hi mukammal hai is se behtar bhi nazm kya hogi!