nehru chacha

kahin gulab ki kaliyon mein muskuraate hain
kahin hujum mein bachchon ke pae jate hain

nazar se chhup ke bhi wo dil ke pas rahte hain
main tum se dur nahin hun wo hum se kahte hain

wo chacha nehru jo bachchon se pyar karte the
nae zamane ka jo intizar karte the

naya zamana jo duniya ko raushni bakhshe
har aadmi ko nai ek zindagi bakhshe

wo jis mein amn-o-mohabbat ka bol baala ho
charag-e-ilm se har samt ek ujala ho

amir jis mein na chusen lahu gharibon ka
nasib jis mein chamak jae bad-nasibon ka

hum un ke khwab haqiqat bana ke chhodenge
ki chacha nehru se rishta kabhi na todenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close