nilo

tu ki na-waqif-e-adab-e-shahanshahi thi
raqs zanjir pahan kar bhi kiya jata hai

tujh ko inkar ki jurat jo hui to kyunkar
saya-e-shah mein is tarah jiya jata hai

ahl-e-sarwat ki ye tajwiz hai sarkash ladki
tujh ko darbar mein kodon se nachaya jae

nachte nachte ho jae jo pael khamosh
phir na ta-zist tujhe hosh mein laya jae

log is manzar-e-jaankah ko jab dekhenge
aur badh jaega kuchh satwat-e-shahi ka jalal

tere anjam se har shakhs ko ibrat hogi
sar uthane ka reaya ko na aaega khayal

tab-e-shahana pe jo log giran hote hain
han unhen zahr bhara jam diya jata hai

tu ki na-waqif-e-adab-e-shahanshahi thi
raqs zanjir pahan kar bhi kiya jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close