mujhe bata kar ki meri samt-e-safar kahan hai kai khazanon ke be-nishan naqshe mujhe thama kar kaha tha us ne ki satwen dar se aur aage tumhaari khatir mera wo bab-e-baqa khula hai magar wahan par tamam dar wa the meri khatir wo satwan dar khula nahin tha magar wahan par koi bhi raaz-e-baqa nahin tha tamam ajsam the salamat koi bhi zinda bacha nahin tha koi bhi mere siwa nahin tha wahan bhi koi khuda nahin tha