parinde

darakhton pe har dam chahakte parinde
lubhate hain bachcho rangile parinde

hain dilkash wo rangin chidiyon ki daren
dikhati hain pat-jhad mein bhi ye bahaaren

jhapatti hain murdar par khud hi chilen
suhani hain baglon ki halchal si jhilen

hai laqwe se karta kabutar hifazat
hai titar se aati ragon mein hararat

zarurat pe karte hain naql-e-makani
ye aadat parindon ki hai ek purani

ghiza mil ke khate hain kawwe bhi dekho
sabaq ekta ka parindon se sikho

tum is raaz ko aaj 'hafiz' se jaano
parinde ghiza bhi dawa bhi hain bachcho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close