prit ki holi

ab ke baras phagun mein kisi se aisi kheli holi sakhi
prit ke pakke rang se jis ne rang di man ki choli sakhi

darpan se jab nain mile to rah gai main bhi dang
prit se us ki aur hua tha sundar mukh ka rang

sakhiyon ne jab bhed ye puchha laj se kuchh na boli sakhi
ab ke baras phagun mein kisi se aisi kheli holi sakhi

mang mein meri us ne bhara tha jis dam lal gulal
sharm se us dam aur hue the mere gulabi gal

us ne tab mere honton par pyar ki madira kholi sakhi
ab ke baras phagun mein kisi se aisi kheli holi sakhi

chhod gaya wo jab se mujh ko us ki yaad satae
mujh birhan ka us bin kya hai haal kaha na jae

itni der rahi main sukh se jitni der ko so li sakhi
ab ke baras phagun mein kisi se aisi kheli holi sakhi

yaad kare hai us ko mere dil ki ek ek dhadkan
pairon mein to pael tadpe aur hathon mein kangan

dhundne us ko main sapne mein nagri-nagri doli sakhi
ab ke baras phagun mein kisi se aisi kheli holi sakhi

aisi abhagan hun main jis ko prit na aai ras
chita ki bhanti mujh ko jalae piya milan ki aas

bhed mera mat kahna kisi se dekh meri ai bholi sakhi
ab ke baras phagun mein kisi se aisi kheli holi sakhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close