qabr

shahzada lipatta hai mujh se aur dur kahin
chidiya ko sanp nigalta hai

sanson mein ghulti hain sansen aur!
zahr utarta jata hai

lamhat ke nile qatron mein
kanon mein mere ras gholta hai shabdon ka milan! aur man bhitar

ek chikh sunai deti hai
jalti poron mein kanpti hai be-maya lams ki khamoshi

us ke hathon se likhti hun main ishq-badan ki mitti par
us ki aankhon ke goristan mein dekhti hun ek qabr nai

aur shahzade ke sine par sar rakh kar so jati hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close