qissa-e-dard

chand ne muskura kar kaha
dosto

qissa-e-dard chhede sar-e-rah kaun
phir bhi tare musir the

ki hum aaj ki shab sunenge
wahi an-suni dastan

der tak chand socha kiya
dur aafaq ki samt dekha kiya

aur taron ki aankhen chhalakti rahin
raat ke daman-e-tar ko

aahista aahista
lamhon ka thanda lahu

jazb ho ho ke rangin karta raha
na-gahan ek nadida zarrin raqam

dast-e-simin badha aur ufuq-ta-ufuq
ek jumbish mein khinche hazaron karodon talai khutut

dub kar rah gae shab ke sare nuqut
chashm-e-afaq se

awwalin qatra-e-dard tapka
kisi barg-e-nau-khez par

aks-e-anjam rukhsar-e-aghaz par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close