raat

fasurda raat sitaron ke qafilon ko liye
khamosh rahon ki khwabida mastiyon ko salam

na jaane kaun si manzil ko hai rawan kab se
tamam dahr pe saya-fagan ye raat jise

kiya hai main ne muqaddar khayal-e-ghamgin ka
ek ek ashk se rah rah ke jis ko dhoya hai

udas udas surile surile naghmon se
ek ek naqsh sanwara hai jis ke chehre ka

kabhi jo lamha tasawwur se chhu gaya koi
gham-e-khayal bana kar samo diya jis mein

jo apne sath sitaron ke qafilon ko liye
na jaane kaun si manzil ko hai rawan kab se

ye aagahi ka koi khwab hi na ho warna
nazar pukar uthegi ki ahl-e-fikr-o-khayal

tamam soch isi raat ka andhera hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close