rah-numa ban jaun

dard jis dil mein ho us dil ki dawa ban jaun
koi bimar agar ho to shifa ban jaun

dukh mein hilte hue lab ki main dua ban jaun
uf wo aankhen ki hain binai se mahrum kahin

raushni jin mein nahin nur jin aankhon mein nahin
main in aankhon ke liye nur-e-ziya ban jaun

hae wo dil jo tadapta hua ghar se nikle
uf wo aansu jo kisi dida-e-tar se nikle

main us aansu ke sukhane ko hawa ban jaun
dur manzil se agar rah mein thak jae koi

jab musafir kahin raste se bhatak jae koi
khizr ka kaam karun rah-numa ban jaun

umr ke bojh se jo log dabe jate hain
na-tawani se jo har roz jhuke jate hain

un zaifon ke sahaare ko asa ban jaun
khidmat-e-khalq ka har samt mein charcha kar dun

madar-e-hind ko jannat ka namuna kar dun
ghar kare dil mein jo 'afsar' wo sada ban jaun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close