raqs

in mah-o-sal par dastaras to nahin
ek lamha magar ji rahe hain jo hum

dastaras mein bhi hai
aur bas mein bhi hai

kyon na is lamha-e-mehrban ko mohabbat ke rangon mein gundhen
kahani bana den

use lamha-e-jawedani bana den
ki hafton mahinon pe salon pe tari rahe

mohlat zindagi se nikal ke bhi
is kaenat-e-taghayyur mein jari rahe

us ka phailao sadiyon pe bhaari rahe
raqs jari rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close