safar diwar-e-girya ka

tumhein is shahr se rukhsat hue
kitna zamana ho chuka phir bhi

abhi tak mere kamre mein
tumhaare jism ki khushbu ka dera hai

ba-zahir to tumhaare baad abhi tak main
bahut hi mutmain

aur shant lagta hun
magar jab raat ke pichhle pahar

kamre mein aata hun
to jaane kyun achanak

meri aankhon mein
nami si tairne lagti hai

palken bhig jati hain
aur us lamhe

na jaane kyun mujhe shak sa guzarta hai
ajab ek wahima sa

mere dil mein sar uthata hai
ki is viran kamre mein

kahin diwar-e-girya to nahin rakh di kisi ne!


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close