sajjad-zahir ke nam

na ab hum sath sair-e-gul karenge
na ab mil kar sar-e-maqtal chalenge

hadis-e-dil-baran baham karenge
na khun-e-dil se sharh-e-gham karenge

na laila-e-sukhan ki dost-dari
na gham-ha-e-watan par ashk-bari

sunenge naghma-e-zanjir mil kar
na shab bhar mil ke chhalkaenge saghar

ba-nam-e-shahid-e-nazuk-khayalan
ba-yaad-e-masti-e-chashm-e-ghazalan

ba-nam-e-imbisat-e-bazm-e-rindan
ba-yaad-e-kulfat-e-ayyam-e-zindan

saba aur us ka andaz-e-takallum
sahar aur us ka aaghaz-e-tabassum

faza mein ek haala sa jahan hai
yahi to masnad-e-pir-e-mughan hai

sahar-gah ab usi ke nam saqi
karen itmam-e-daur jam saqi

bisat-e-baada-o-mina utha lo
badha do sham-e-mahfil bazm walo

piyo ab ek jam-e-al-widai
piyo aur pi ke saghar tod dalo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close