samandar ka sukut

aaj phir ghat mein baitha hai samundar ka sukut
hum ko ek dusre se dur hi rahna hoga

hum ko har haal mein majbur hi rahna hoga
mujh ko is daur-e-jarahat se guzar jaane de

mujh ko jine ki tamanna nahin mar jaane de
meri taqdir mein gham hain to koi baat nahin

mujh ko zulmat ki guphaon mein utar jaane de
tu na ghabra ki tere husn ki mishal le kar

tere hamrah kabhi tere bichhaune ke qarib
raat bhar dhum machaega mere jism ka bhut

aaj phir ghat mein baitha hai samundar ka sukut
zarf baqi na koi azm-e-nihan baqi hai

sirf ehsas ke chehre pe dhuan baqi hai
koi saya hai na sathi hai na mahfil koi

dilkashi khatm hai phir kyun ye jahan baqi hai
ye jahan jis mein sab atraf tabahi ke nishan

surat o shakl pe zakhmon ki tarah phaile hain
aur har zakhm hai insan ki wahshat ka subut

aaj phir ghat mein baitha hai samundar ka sukut
talkh tanhai ka ek dard liye chehre par

le ke phirta hun main zakhmon ke diye chehre par
ruh majruh jabin zakhm-zada dil ghail

phir bhi hansta hun nai aas liye chehre par
zindagi hai ki kisi shah ki begam jis ko

waqt bazar mein laya hai barhana kar ke
aur khamosh hain tahzib o tamaddun ke saput

aaj phir ghat mein baitha hai samundar ka sukut
waqt kahta hai hamein dur hi rahna hoga

hum ko har haal mein majbur hi rahna hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close