samay hi kuchh aisa tha

safed baalon
aur hire ki kani jaisi aankhon walon ke dil

sone ki dali se tarashe jate hain
wo nahin bolte

magar chaar atraf
chandi jaise ujle lafz

muskurane lagte hain
wo safed baadalon mein

shaffafiyat ka rang bhar dete hain
aasman ki nilahat

bhar lete hain aankhon mein
jazb kar lete hain sat rang

zindagi ke tajrbe ki aanch
un ke chehre par dhuan nahin bikherti

wo apna ujla rup hatheli par liye phirte hain
uchhaal dete hain suraj ki taraf

dudhiya kirnon ka thaal
raat ke andhere mein

mahtab chunne nikalta hai
un ka rupahla rup

unhen dekhte hi
jangal ke darakhton se

chhanti hui raushni
raqs karne lagti hai

magar meri aankhen
tatolti rahti hain andhera

main ne ek safed baalon wale ko
ojhal hote dekh liya tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close