samundar aasman aur main

khulin jo aankhen to sar pe nila falak tana tha
chahaar-jaanib siyah pani ki tund maujon ka ghalghala tha

hawaen chikhon ko aur karahon ko le ke chalti thin aur mitti
ki zard khushbu mein maut-mausam ka zaiqa tha

nazar manazir mein dub kar bhi misal-e-shisha tahi thi yani
gul-e-tamasha nahin khila tha

hiras jazbon ki rahguzar mein dil-e-tajjub-zada akela
khamosh tanha bhatak raha tha

ki ek sae ki narm aahat ne raston ka nasib badla
koi talluq ke chand lahje mein apne-pan ki ada se bola

mire musafir udas mat ho ki ahd-e-furqat hi zindagi hai
ye faslon ki khalij rah-e-visal hai aur talab nigahon ki raushni hai

tamam chizen tumhaare mere
badan ke rishton ka silsila hain

tumhein khabar hai ki hum samundar
aur aasmanon ki intiha hain!


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close