saqi nama

nahin ye ahd aur hai saqi
ahl-e-europe ka daur hai saqi

ki hai koshish unhon ne khatir-khwah
pai hai muddaton mein hind ki rah

kar ke zahmat jo aae itni dur
mahz tarwij-e-baada thi manzur

jo musalman hain ummat-e-angrez
mai-kashi se unhen nahin parhez

baada-khwari ka shaghl ghar ghar hai
aur tadi to shir-e-madar hai

pahle pasi chamar pite the
mardum-e-be-waqar pite the

ab to ahl-e-ulum pite hain
mahiyan-e-rusum pite hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close