sarabon ka safar

dasht-e-imkan mein jari hai
sarabon ka safar
ek sahra-e-junun
hadd-e-nazar hai hail
shakh-e-zaitun pe
aawaz ka panchhi ghayal
daur-e-pazeb ki chham chham hai
chamakti shai hai
rah-guzar koi nahin
dhund ke manzar ke siwa
ek teri yaadon ke siwa
har taraf ret ke utthe hain bagule
hatim
naqsh-e-pa koi nahin
khun ke qatron ke so
ek sadi bit gai
ek zamana guzra
ab yaqin kaise ho
hont tishna hain mere
khushk gila hai ab bhi
har taraf karb-o-bala hai ab bhi
dasht-e-imkan mein jari hai
sarabon ka safar

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close