shah-e-wala

hum to yun bhi baj-guzar the sadiyon ke
hum to kitni hi naslon se

aap ki kitni hi naslon ko
haqq-e-namak mein

apne iman aur ana ka
nazrana dete aae the

hum ne to apne hisse mein
mahal-sara ke pichhwade ki

dhul chuni thi
aur rahon mein udne wale kuchh tinke bhi

jin se ghonsle ban sakte the
mahal-sara ko in tinkon se kya khatra tha

phir kyun aap ne shah-e-wala
chilon kawwon aur gidhon ko

chhote chhote ghonsle nochne par mamur kiya hai
aisa kyun hai shah-e-wala

hum sadiyon ke baj-guzar to
shahr-e-panah se bahar hain

lekin chilen kawwe aur gidh
shahr-e-panah ke andar hain

shahr-e-panah ki is taqsim mein
kis ka hath hai shah-e-wala


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close