shahar-bano ke liye ek nazm

tumhein jab dekhta hun
to meri aankhon pe rangon ki phuwaren padne lagti hain

tumhein sunta hun
to mujh ko qadimi mandiron se ghantiyon aur masjidon se wird ki aawaz aati hai

tumhaara nam leta hun
to sadiyon qabl ke lakhon sahifon ke muqaddas lafz mera sath dete hain

tumhein chhu lun
to duniya-bhar ke resham ka mulaem-pan meri poron ko aa kar gudgudata hai

tumhein gar chum lun
to mere honton par uluhi aasmani na-chashida zaiqe yun phail jate hain

ki us ke baad mujh ko shahd bhi phika sa lagta hai
tumhein jab yaad karta hun

to har har yaad ke sadqe mein ashkon ke parinde chum kar aazad karta hun
tumhein hansti hui sun lun

to saton sur samaat mein sama kar raqs karte hain
kabhi tum ruthti ho

to meri sansen atakne aur dhadkan thamne lagti hai
tumhaare aur apne ishq ki har kaifiyat se aashna hun main

magar jaanan
tumhein bilkul bhula dene ki jaane kaifiyat kya hai

mujhe mahsus hota hai
ki marg-e-zat ke ehsas se bhar jaunga fauran

tumhein main bhulna chahunga to mar jaunga fauran


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close