shaiKH salahuddin

ye sujhi hai kya aap ko shaikh sahab
jo chup sadh li aap ne shaikh sahab

lapeta tha nasir jab jab munh socha main ne
mohabbat hi kamzor thi aap ki jo nahin rok pai use shaikh sahab

sajila tha gul aap ke bagh ka sab se wo shaikh sahab
gaya wo gai bazm-e-yaran ki raunaq gai us ki khushbu

tarannum se khali hui shairi guftugu mein maza na raha shaikh sahab
mujhe ilm tha ki chhupate hain gham aap apna

magar aap ko main bahut sakht-jaan jaanta tha
bhai aql-e-kul manta tha

kaha aap ka go nahin manta tha
kahan to ye dawa ki sau sal ki umr hogi hamari

kahan ab yakayak batae bina chal diye aap nasir se milne
akele mein dil aap ka bhi kahan lagta hoga

kitaben khwah quran hi kyun na ho dosti ka badal to nahin shaikh sahab
wafa ke taqaze kiye aap ne sare pure

meri wapsi ke rahe muntazir aakhiri sans tak aap to shaikh sahab
na toda kabhi yaad ka mujh se rishta

dhar mein jise mil na paya kabhi rasta wapsi ka
bahut zor mara ki main laut aaun

karun aa ke aabaad wo bagh-e-hikmat
chamakte the jis mein misal-e-mehr aap hi shaikh sahab

masail ke jangal mein gum ho gaya main
siyasat ke kambal ko jitna bhi main chhodta wo nahin chhodta tha mujhe shaikh sahab

mujhe ab chala hai pata ki mohabbat na kamzor thi aap ki shaikh sahab
bulawe pe nasir ke yun chal diye aap uth kar

mohabbat thi kamzor meri
bulate rahe aap barson mujhe main na aaya

bahut der kar di hai aane mein be-shak
magar ab mein aaya ki aaya

zara do ghadi intizar aur ghaalib se mil lun
bahut kuchh hai kahna unhen aap se shaikh sahab

main paigham le lun
sakina se mariyam se anwar se rukhsat mein ho lun

gale se ibrahim ko main laga lun
main aaya ki aaya khuda ki qasam shaikh sahab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close