kaun se koh ki aad mein li khurshid ne ja kar aaj panah chou-tarfa yalghaar si ki hai abr ne bhi ta-hadd-e-nazar dhime chalte kale baadal udti si ujli badli raqsan raqsan jhalak dikha kar rah jati hai barq kabhi patton ke jhurmut mein sae kajlae sharmae se phul halimi se sar kham aur kaliyan kuchh sharmai sin danista barish mein udte phirte aawara tair yahan wahan baithe kitne bhigin chup-chap se khush ho kar bijli ki manus kadak shah-zor garaj ye baadal ki ab ke hum ne kitni dhupen is mausam ki rah taki