shararat ka maza

ek ladke ka nam arshad
nam tha arshad kaam the sab bad

din bhar khub shararat karta
phir bhi us ka pet na bharta

is ko chhua us chiz ko toda
is ko liya us chiz ko phoda

sathi us se ghabraate the
dekhte hi katra jate the

ek din ka hai zikr hua kya
aap ne dekha shahd ka chhatta

dekhte hi bas khel ye khela
mara us par tak ke dhela

makkhiyan pahle to ghabrain
phir jhalla kar us par aain

sab ne mil kar itna kata
bhul gae wo sair-sapata

phul ke kuppa ho gae arshad
rote rote so gae arshad

phir wo sidhe ho gae aise
'nayyar' sidhi gae ho jaise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close