shirini-e-ras-dar

shirin hai rasili hai mazedar bahut hai
har fard ise khane ko tayyar bahut hai

khush-rang hai khush-ru hai ye khush-khulq hai la-raib
jo khae ise lutf se sarshaar bahut hai

hai sakht mein pechida magar asl mein sidhi
fitrat ki bhali taba mein hamwar bahut hai

sada si hai surat to damakti hui rangat
is ke liye bas itna hi singhaar bahut hai

khate hi halawat ka dahan mein ho basera
is ke liye thodi si hi miqdar bahut hai

guna-gun hain ausaf jinhen mante hain sab
bas wo nahin shamil jinhen pindar bahut hai

jo fard ise dekhte hi chin-ba-jabin ho
zahir hai ki jine se wo bezar bahut hai

kuchh to ise halwai ki dukkan pe khaen
kuchh ko ye amal karte hue aar bahut hai

kya gham hai jo shopper pe hai sarkar ki bandish
halwai ki tahwil mein akhbar bahut hai

ye yaad rakhen khane mein rakhna hai tawazun
jo bhula wo amraaz se do-chaar bahut hai

amraaz ko hargiz na wafadar banaen
warna ye rah-e-zindagi pur-khar bahut hai

go ab to taaruf ki zarurat nahin chandan
hai nam jalebi agar israr bahut hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close