siDhiyan

chadhti kahin kahin se utarti hain sidhiyan
jaane kahan kahan se guzarti hain sidhiyan

yaadon ke jhilmilate sitare liye hue
mazi ki kahkashan se utarti hain sidhiyan

leti hain yun safar mein musafir ka imtihan
hamwar raston pe ubharti hain sidhiyan

karti hain sar ghurur ka niche utar kar
pasti ka sar buland bhi karti hain sidhiyan

tarikiyon ko odh ke soti hain raat-bhar
suraj ki raushni mein nikharti hain sidhiyan

hilti nahin hilae se sabit-qadam tale
mahken agar qadam to bahakti hain sidhiyan

mimbar pe chadh ke baithti hain waizon ke sath
rindon se chhed-chhad bhi karti hain sidhiyan

jab koi haal puchhne aae na muddaton
andar se tut-phut ke marti hain sidhiyan

yaadon ke phunk phunk ke rakhne pade qadam
zakhmon se dil ke jab bhi sanwarti hain sidhiyan

leti hain badh ke sab ke qadam to laga mujhe
tanhai ke azab se darti hain sidhiyan

yun dil mein teri baat utarti hai 'khwah-makhwah'
gahre kuen mein jaise utarti hain sidhiyan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close