sitara so gaya hai

jism ko khwahish ki dimak kha rahi hai
nim-wahshi lazzaton ki

tutti parchhaiyan
aarzu ki aahani diwar se takra rahi hain

dard ke dariya kinare
ajnabi yaadon ki jal-pariyon ka

mela sa laga hai
an-ginat pighle hue

rangon ki chadar tan gai hai
parbaton ki chotiyon se

reshmi khushbu ki kirnen phutti hain
khwab ki dahliz suni ho gai

dhup ke jangal mein suraj kho gaya hai
baadalon ki maili chadar par

teri aawaz ka
ghail sitara

so gaya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close