subh ki aamad ke sath

qarib-e-subh sada-e-shikast-e-jaan ubhri
labon ka zahr achanak pighal gaya aakhir

sukut-e-jism lahu pite pite chaunk utha
ye kaun shab ki tamazat se jal gaya aakhir

karahta sa utha koi tutta paikar
siyahiyon mein sulagta hua dhuan jaise

jhatak ke daur hui bistaraon se uktahat
lipat gaya ho koi sanp na-gahan jaise

azab-e-ruh makanon ka dard chatega
badhenge shahr-e-tamanna ki samt sab sae

kasha-kashon ke samundar mein dubkiyan lete
har ek zat ki maujudiyat se uktae

gharon mein qaid dar-o-baam ki har ek uljhan
gali gali ke labon se lipat rahi hogi

tabiaton ko sambhaale hue dhuen ki lakir
waraq kitab-e-nafas ke ulat rahi hogi

rahega yun hi saron par itab ka suraj
isi tarah se basar hote jaenge din-raat

kaleja munh mein rakhe aur sine par patthar
guzar denge guzarte hue sabhi sadmat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close