sukut-e-shab

faza-e-zist pe chhai hai kaisi khamoshi
na koi shor na shewan na girya-o-zari

na koi shikwa-ba-lab hai na koi fariyaadi
na koi dard ka qissa na koi zikr-e-alam

na siskiyon ka koi irtiash zholida
na dud-e-ah-o-fughan ki koi giranbari

na koi harf-e-alam hai na istiara-e-gham
na koi qatra-e-khun hai siyahi-e-qirtas

sitam-kashon pe hai tari ajib aalam-e-yas
nahin hain aish ke naghme to gham ke git sahi

kisi ke halqa-e-zanjir hi ke saz bajen
kisi ka zakhm-e-jigar hi chatak ke de aawaz

kahin se dil ke dhadakne hi ki sada aae
rafiqo kuchh to karo arz-e-haal ka saman

kisi tarah to koi dil-figar le phute
kisi tarah to fusun-e-sukut-e-shab tute


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close