sukut

so rahi thin naddiyan aur jhuk gae the barg-o-bar
bujh gaya tha khak ki nabzon mein hasti ka sharar

chandni maddham si thi dariya ki lahren thin khamosh
be-khudi ki bazm mein tute pade the saz-e-hosh

bhini bhini bu-e-gul raqs-e-hawa kuchh bhi na tha
sehn-e-gulshan mein udasi ke siwa kuchh bhi na tha

ek hijab-e-tiragi tha dida-e-bedar par
kuchh dhuan sa chha raha tha husn ke anwar par

is dhuen mein ruh ki tabindagi khote hue
main ne dekha nau-e-insani ko gum hote hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close