suraj ka taaqub

kabhi aflak se nisbat mili hai kaj-kulahon ko
kabhi main bhi tumhaari tarah suraj par lapakta tha

magar ek din hua aisa
sunahre rath pe suraj na-gahan is samt se guzra

guzarte rath ki zad mein panw mera kat gaya
suraj ne shan-e-be-niyazi se

shikasta-panw ki chabuk banai
aur gaya aisa ki phir us ne palat kar bhi nahin dekha

main us suraj ke pichhe kyun chalun
jis ne shikasta-pa kiya mujh ko

mubarak ho tumhein garm-e-safar rahna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close