tah-e-nujum

tah-e-nujum, kahin, chandni ke daman mein
hujum-e-shauq se ek dil hai be-qarar abhi

khumar-e-khwab se labrez ahmarin aankhen
safed rukh pe pareshan ambarin aankhen

chhalak rahi hai jawani har ek bun-e-mu se
rawan ho barg-e-gul-e-tar se jaise saill-e-shamim

ziya-e-mah mein damakta hai rang-e-pairahan
ada-e-ijz se aanchal uda rahi hai nasim

daraaz qad ki lachak se gudaz paida hai
ada-e-naz se rang-e-niyaz paida hai

udas aankhon mein khamosh iltijaen hain
dil-e-hazin mein kai jaan-ba-lab duaen hain

tah-e-nujum kahin chandni ke daman mein
kisi ka husn hai masruf-e-intizar abhi

kahin khayal ke aabaad-karda gulshan mein
hai ek gul ki hai na-waqif-e-bahaar abhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close