tamir

apne sine mein dabae hue lakhon shoale
shabnam o barf ke naghmat sunae main ne

zist ke nauha-e-paiham se chura kar aankhen
git jo ga na sake koi wo gae main ne

aaj tashbih-o-kinayat ka dil tut gaya
aaj main jo bhi kahunga wo haqiqat hogi

aanch lahraegi har bund se paimane ki
mere sae ko meri shakl se wahshat hogi

gham-e-dauran ne gham-e-dil ka sukun chhin liya
ab tere pyar mein bhi pyar ke andaz nahin

shauq ke qila-e-tarik mein hai sannata
koi aawaz nahin koi bhi aawaz nahin

kaise samjhaun ki ulfat hi nahin hasil-e-umr
hasil-e-umr is ulfat ka mudawa bhi to hai

zindagi hasrat-e-khas-khana-o-barfab sahi
kuchh dahakte hue shoalon ki tamanna bhi to hai

tu mera khwab hai aadarsh hai lekin mujh ko
tere is qasr-e-tarab-nak se jaana hoga

aag aur khun ugalte hue sayyare ko
phir tera qasr-e-tarab-nak banana hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close