targhib

chilmanon ke us taraf jagmagati zindagi
samne aa kar naqab-e-rukh ko sarkati hui

mujh se hans kar kah rahi hai mera daman tham le
dubte tare numud-e-subh se sahme hue

malgaji dhundlahaton mein jhilmila kar kho gae
jagti aankhon mein ek guzri hui duniya liye

is taraf main hun mere mazi ki badhti dhund hai
dhundle dhundle naqsh la-hasil tamannaon ki rakh

raushni ke daere se dur yaadon ka khumar
ek taraf jalti fasilon se dhuan uthta hua

ek taraf aasudgi-e-arzu ke narm khwab
kham-ba-kham rahen safar ki gard mein khoi hui

jalti aankhon mein sunahre khwab-zaron ke sarab
roz-o-shab ke jalte-bujhte daeron ko tod kar

aarzu ki wusaten sahra-ba-sahra be-kanar
na-tarashida chatanen rasta roke hue

ek sada-e-ba-gasht apni nawaon ka jawab
ashk-ha-e-subh-gahi se sahar khilti hui

raat ki tarikiyan dil ke lahu se lala-zar
ek soz-e-arzu anfas mein rachta hua

ek mubham dard dil ki khalwaton mein be-qarar
bas yahi subhen yahi shamen yahi be-nam dard

umr bhar ki jidd-o-johd-e-shauq ka hasil rahe
tira-bakht aankhon mein aise khwab ke paikar base

jin se munh modun to har aasaish-e-duniya mile
chilmanon ke is taraf se jagmagati zindagi

samne aa kar naqab-e-rukh ko sarkati hui
mujh se hans kar kah rahi hai mera daman tham le


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close