tarkhan By Nazm << tumhaara nam talash >> kursi mein nikli hui kil ki tarah siyasat-dan mujhe chubhte hain jab aur jahan nazar aate hain thonk deta hun unhen apne hathaude se un ke haq mein ya khilaf dalael ko tole baghair tarkhan ki dukan mein taraazu ka kya kaam Share on: