tauq-o-dar ka mausam

rawish-rawish hai wahi intizar ka mausam
nahin hai koi bhi mausam bahaar ka mausam

giran hai dil pe gham-e-rozgar ka mausam
hai aazmaish-e-husn-e-nigar ka mausam

khusha nazara-e-rukhsar-e-yar ki saat
khusha qarar-e-dil-e-be-qarar ka mausam

hadis-e-baada-o-saqi nahin to kis masraf
khiram-e-abr-e-sar-e-kohsar ka mausam

nasib-e-sohbat-e-yaran nahin to kya kije
ye raqs-e-saya-e-sarw-o-chinar ka mausam

ye dil ke dagh to dukhte the yun bhi par kam kam
kuchh ab ke aur hai hijran-e-yar ka mausam

yahi junun ka yahi tauq-o-dar ka mausam
yahi hai jabr yahi ikhtiyar ka mausam

qafas hai bas mein tumhaare tumhaare bas mein nahin
chaman mein aatish-e-gul ke nikhaar ka mausam

saba ki mast-khirami tah-e-kamand nahin
asir-e-dam nahin hai bahaar ka mausam

bala se hum ne na dekha to aur dekhenge
farogh-e-gulshan o saut-e-hazar ka mausam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close