tawana KHubsurat jism

aaza ka tanasub
ragon mein daudte zinda jawan sarshaar khun ki gungunahat
hamein dete hain dawat ishq ki
lekin
hamari chashm-e-ahan-posh pairahan-shanasa hai
libason ki mohabbat
waz-e-pairahan ko sab kuchh man kar
na-bina aankhen ishq karti hain
hamari zindagi tahzib-e-pairahan hai
zahir ki parastish hai
hamare sare aadab-e-nazara farz kar lete hain
insan be-badan hai
badan dar-asl insan hai tamaddun hai mohabbat hai
badan hi ruh hai nur-e-hararat zindagi hai
badan hi ka karishma zehn ki takhliq taskhir-e-fulan hai
hamari chashm-e-ahan-posh pairahan shanasa hai
badan ki tab la sakti nahin
tahzib-e-pairahan na zinda hai na zehn-o-ruh rakhti hai
hamare budhe kohna aur farsuda libason se ibarat hain
hamare naujawan maghrib ke taza faishanon ke chalte phirte ishtihaari hain
badan madum hai
aur be-badan ruhen dhuan hain
be-badan azhan aaseb-e-nazara hain
This is a great ab to aaja shayari. True lovers of khane ki dawat shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this khona shayari in hindi is truly a work of art. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close