traffic

ye shahr-e-sitam mar deta hai mujh ko
sar-e-rah sham-o-sahar ke kinare

nazar-o-pareshan main shorida-sar
azhdaham-e-kasalat mein gum

apne chaaron taraf ek nazar dalta hun
to ye sochta hun

ki ye gadiyan hain
ya gadi-numa wahshaten rengti hain

mujhe wahshaten das rahi hain
thakan se badan mein daraden padin hain

koi manzil-e-be-nishan tak nahin hai
qadam mere bojhal

mere dast-o-pa shal
nazar aise pathra gai hai ki jaise

zamin ruk gai ho
samajh aise ghabra gai hai ki jaise

khirad bakhta ho
magar mere panje zamam-e-sitam-hae-jaan musalsal gade hain

mayassar nahin hai jinhen istirahat ka pal
faqat ek hi pal

mere dast-o-pa shal
ziyafat hai sadkon ki mere

ye ghutan ki faza aur ye kala dhuan
siskiyon ki paleton mein waqt abas hai

ziyan ham-nafas hai
qafas hai sadak hai sadak hai qafas hai

qafas mein qataron ki lambi fasilen
fasilon ke khauf-e-junun-khez mein ab

masafat tawalat pakadne lagi yun
sadak ban gai ek daldal

mere dast-o-pa shal
khamoshi mere dil ke kone mein sahmi dari

shor ke tera ifrit se bhag kar
aa gai thi magar

gosh-e-muflis mein behudgi zahr ban kar
badan ki mulaem ragon ko sukhane lagi hai

bahut jald dil tak pahunch jae ki
khamushi ko dabochegi kha jaegi

ai mata-e-hunar
mere dil se nikal

ya meri aag mein jal
mere dast-o-pa shal

ba-zahir jo sidhe nazar aa rahe hain
ye sab raste daeron ki tarah hain

wajud-e-malamat mein phaile hue
be-karan faslon ke nishan hain

jahan khilqat-e-be-aman ke liye
roz-o-shab marg-e-paiham saza-war hone lage hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close