tumhaare liye meri pahli nasri nazm

tum un sari auraton se ziyaada khubsurat ho
jinhon ne mere khayalat par shoalon ka ek haala sa banae rakkha

aur jin ki mohabbat ka bojh bardasht karte hue mere qadam tum tak aa pahunche
tumhaara chehra bhale meri nazron se gurezan raha meri aankhen raushan hain

us chamkile galeshiare ki tarah jo dhup mein dur se nazar aa jae
yahi wo lamha hai jo waqt ke samundar mein jazb hua to use apni wusat ka andaza hua

yahi lamha jab mausamon ki duniya mein dakhil hua to khizan ko bahaar se afzal qarar diya gaya
mujhe pata hai tumhaare kan roz-e-awwal se ab tak ke shairon ki la-yani taqriron se bhare hue hain

tumhaara dil an-ginat aashiqon ke bosida jazbon se mutassira sar-zamin hai
lekin yaqin karo

is kaenat ki har shai aur har wo shai jis se mil kar ye kaenat bani hai
qaem rahne ke liye tumhaare wajud ka sahaara leti hai

tumhaare wajud ke ehsas ka sahaara leti hai
main bhi sirf tumhein mahsus hi kar sakta hun

tum se baat nahin kar sakta
lekin wo log jo tum se ham-kalam hone ki aas pe is duniya mein aae hain

jin ke zehn abhi tak tumhaari aankhon ke sahilon se na-ashna hain
wo juluson ki shakl mein tumhaari taraf aaenge aur aakhir-kar khali hath laut jaenge

meri nazmen un ke liye mishal-e-rah hain
aur ye khamosh alamiya unhen har jahan mein surkh-ru kar sakta hai

shart ye hai ki main kisi bahane tumhaare bare mein likhta rahun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close