tumhaari aankhen shararti hain tum apne pichhe chhupe hue ho baghaur dekhun tumhein to mujh ko shararaton par ubhaarti hain tumhaari aankhen shararti hain lahu ko shoala-ba-dast kar den ye pattharon ko bhi mast kar den hayat ki sukhti ruton mein bahaar ka band-o-bast kar den kabhi gulabi kabhi sunahri samundaron se ziyaada gahri tahon mein apni utarti hain tumhaari aankhen shararti hain haya bhi hai un mein shokhiyan bhi ye raaz bhi apni tarjuman bhi riyasat-e-husn-o-ishq ki hain reaya bhi aur hukmaran bhi wo kho gaya ye mili hain jis ko ye jitna chahti hai jis ko usi se dar-asal haarti hain tumhaari aankhen shararti hain kashish ka wo daera banaen hawas jis se nikal na paen main apne andar bikhar sa jaun sametne bhi na mujh ko aaen ajab hai anjaan-pan bhi un ka main un ka aur mera fan bhi un ka khamosh rah kar pukarti hain tumhaari aankhen shararti hain
Please share if you liked this!!!