TuTa hua ufuq

miyanwali bhi apni rut badalta hai magar
mere dil ki zaminon par

wahi mausam khizan ka
wahi be-shakl chehra aasman ka

wahi be-ab dariya dastan ka
wahi be-ruh manzar hain

wahi be-rang taswiren
wahi chashme wahi, ubla hua pani

darakhton se
musalsal bhap ban kar uth raha hai

pighalti ja rahi hain meri raaten
sawa neze pe suraj hai

magar shab ki siyahi ud rahi hai meri mitti mein
mere andar ki faslen

tirgi ki dhup mein murjha gai hain
mujhe koi shikast-e-zat ki illat bata de!


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close