ufuq zamir ki tarikiyon se aaluda dil-o-nazar mein wahi intiqam ke shoale kahin pe khun kahin par hai aabru-rezi jahaalaton ke samundar mein dubte insan uthae dosh pe ek munsifi ke lashe ko phire hai shahr mein insaniyat ka sara wajud na koi dad na fariyaad sunne wala hai hamare dard ko rahat se bharne wala hai chalo ki dur chalen shahr ki fasilon se yahan to maut ki har roz wardaten hain yahan to khun ke charche hain aur kuchh bhi nahin kahin to amn aur insaf ki zamin hogi jahan pe khauf ka saya na koi dar hoga chalo ki aisi zamin ki kahin talash karen chalo ki dur chalen shahr ki fasilon se