ulTa chakkar

ajib chakkar koi chala hai
jo shai jahan se uthana chahi

utha na pae
jahan jo rakkha wahan wo rakkha nahin raha hai

jo likhna chaha wo likh na pae
tamam chakkar ulat chala hai

jo khwab ke daere se bahar tha us ne aankhon se bair rakkha
dil-o-nazar mein jise jagah di wo khwab ban kar bikhar gaya hai

nasib mein jo nahin tha us ki talash mein zindagi laga di
jo hath mein tha wo be-khudi mein diya hai

jo baat kahni thi us ki himmat juta na pae
jo lab pe aaya wo harf hi ghair ho gaya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close