ulTi ganga

wo daur aane wala hai begam ne ye kaha
kar dengi band aurten mardon ka natiqa
ab wo zamana aaega mahwash kamaenge
aur mard ghar pe baith ke khana pakaenge
tum mera ghar pe baith ke dekhoge rasta
ab tum mere huzur mein laoge nashta
had se bura huzur ka anjam howega
mardon se guftugu ka ghazal nam howega
budhe ko sola sal ki dulhan pasand hai
mardon ko sari nasl corruption pasand hai
hum log badh rahe hain taraqqi ki rah mein
sar mein dimagh rakhte hain duniya nigah mein
lady police wali hai lady hai fauj mein
kitne sudhaar aae hain aurat ki nauj mein
lungi se dhanp dhanp ke munh apna roenge
aurat jahan jahan thi wahan mard hoenge
hum ne kaha ki is mein nahin hai muzaiqa
hum bhi badal ke dekhenge ab munh ka zaiqa
ab ladkiyon pe barq-e-tabassum giraenge
ab ladke apne husn ka jalwa dikhaenge
kitni musibaton se milegi hamein najat
soega ladka jagegi ladki tamam raat
aaega ab na surat-e-ashiq pe rang-e-yas
ab phul ud ke aaenge bhanwre ke aas-pas
sochenge pahron baith ke qanun-e-mahwashan
ab rape ki report likhaenge naujawan
diwangi mein chaak gareban kiye hue
laila milegi baal pareshan kiye hue
niklegi shirin hath mein tesha liye hue
farhad hoga pet mein bachcha liye hue
majnun ko mahmalon mein bithaen to khub hai
lailaen zauq-e-qais dikhaen to khub hai
This is a great pagal ashiq shayari. True lovers of dulhan shayari hindi mai will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore ladka ladki shayari hindi. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close