ulTi ho gain sab tadbiren

khet ke chaaron samt lagai
main ne badh ghane thohar ki

socha samjha ab ke maweshi
raund na paenge faslon ko

kheti ab taraj na hogi
dharti ab sona uglegi

bante bante baat bani thi
bigad gai lekin pal-bhar mein

kat ke main ne bad ka thohar
apni ungli khud kati thi

khet ke rakhwale thohar ne
hae ye hath uchhaale kaise

hae ye panw nikale kaise
pair bhi rakhna ab mushkil hai

aisi fasl ugi hai ab ke
koi maweshi bhule se bhi

khet ki jaanib rukh nahin karta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close