wo ek aag

ek ajab aag si hai sine mein
jaise ho sina-e-shamshir ki aag

ek ajab aag si hai baatin mein
jaise ho nala-e-shabgir ki aag

jaise ek shoala-e-jawwala falak ko chhu le
sina-e-sard mein mere hai wahi aag abhi

toda-e-barf se jo bujh na sake
ban ke shoala ye badhi jati hai

su-e-aflak uthi jati hai
us ki zad mein hain

ye ashya-e-nizam-e-alam
bas ki ek khauf hai pahlu mein mere

apni hi aag se afkar na jal jaen kahin
sochta hun ki dua hi mangun

mere aatish-kada-e-sina ko
mera rab lutf-o-karam ka koi chashma kar de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close