wo sahil-e-shab pe so gai thi

nile sayon ki raat thi wo
wo sahil-e-shab pe so gai thi

wo nile sae
hawa ke chehre pe aur badan pe

aur us ki aankhon mein so rahe the
aur us ke honton pe

surkh khushbu ki dhup
us shab chamak rahi thi

wo sahil-e-shab wo nile pani
wo aasmanon se surkh patton ki tez barish

wo tez barish badan pe us ke
gulab-mausam ke in dinon mein

wo sahil-e-shab pe so gai thi
wo surkh khushbu ki tez dhupon mein

kho gai thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close