yaad

yaad ek be-rang be-mahak
murjhaya hua gulab

jis ke kanton ki chubhan
baqi rahti hai sada

yaad-e-mazi ki banai hui
ek dhundli taswir

mel nahin khata jis se haal ka chehra
phir bhi lagi hai dil ki diwar par

yaad tuta-phuta ek aisa khilauna
jis se insan dil bahlana chahe

be-kar hone ke bawajud
use phenkna nahin chahe

yaad ek sarab
zist ke registan mein

jo aur bhi badha de
thake haare musafir ki pyas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close