yahi tum par bhi khulna hai

achanak aaj mujh ko raste mein mil gaya tha wo
tumhaara nam leta tha

mujhe kahne laga, anjum
khuda-lagti kaho, tum ne bhi is mah-ru ko dekha hai

tumhaari aankh bhi to husn ka idrak rakhti hai
tumhein bhi aashnai hai ki khadd-o-khal kin kin zawiyon se

husn ki tashkil karte hain
to kya jo haal hai mera bhala kuchh aur hota tha?

mujhe to us pe marna tha mujhe to khud ko rona tha!
main us ki baat sun kar hans diya

is shakhs ne us shakhs ko kis aankh se dekha!
mujhe to yun laga jaise koi diwan-e-ghaalib ki munaqqash jild ki tarif karta ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close