ye nur kaisa hai

rakh ka sarang pahne
barf ki lash hai

lade ka sa badan pahne
gungi chahat hai

ruswai ka kafan pahne
har ek qatra muqaddas hai maile aansu ka

ek hujum apahij hai aab-e-kausar par
ye kaisa shor hai jo be-awaz phaila hai

ro pahli chhanw mein bad-namiyon ka dera hai
ye kaisi jannat hai jo chaunk chaunk jati hai

ek intizar-e-mujassam ka nam khamoshi
aur ehsas-e-be-karan pe ye sarhad kaisi

dar-o-diwar kahan ki aawargi ke
nur ki wadi talak lams ka ek safar tawil

har ek mod pe bas do hi nam milte hain
maut kah lo jo mohabbat nahin kahne pao

usi ka nam mohabbat hai jis ka nam hai maut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close