kis ki bad-gumani par

husn ko bad-guman rahne de
raaz-e-dil raaz-dan rahne de

nigah-e-nim kash ki umr daraaz
naubat ek darmiyan rahne de

hasrat-e-unfawan-e-raaz-o-niyaz
ruh par hukmaran rahne de

ishq ki kaenat hai hirman
aarzu ka ziyan rahne de

naqsh-e-na-kuda ke tasawwur ka
ye mita sa nishan rahne de

qismat-e-ishq to hai qismat-e-ishq
bare mannat ki shan rahne de

na-saza-wariyon ka kya kahna
bas inhen mehrban rahne de

han mujhe khud hai e'tiraf-e-shikast
ab mera imtihan rahne de

wada-e-shauq tha fareb-amez
bas use raegan rahne de

dost kis kis ka tha dil-e-be-dost
ye zubun dastan rahne de

hadiye kya kya diye the kis kis ko
sharh ye qissa-khwan rahne de

mere tahtush-shuur ki duniya
tah-nashin aur nihan rahne de

rahi kin gul-rukhon se sheftagi
ab ye shewa bayan rahne de

bhul phulon ki pyar shahin ka
swang ye gul-fishan rahne de

hai jahan gard aur hijaz-parast
la-ubaali jawan rahne de

ghayat-e-ashiqi hawas-kari
hai baja meri jaan rahne de

shauq tha shauq ta-ghubar-e-guman
mit chuka wo jahan rahne de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close